Tuesday, 17 April 2012

Mere pagal piya meri chahat na kr,

Mere pagal piya meri chahat na kr,

Mujhe daikha na kr mujhe socha na kr..

So bar kaha itni mohabbat nahi achi,

So bar kaha itna tamasha na kar..

Na jany kab tot jaye wafa ki ye dori,

Tu mujh pe bharosa ziyada na kr..

Kiya pta kab yeh ehad tot jaye,

Saath jeeny marny ka wada na kr..

Qurbton main faasly lazmi hain jana!

Kabhi mil na paoun to tarpa na kr..

Agr me na rahoun to phir kiya kro gy,

Pagalaun ki trha youn tot k chaha na kr..!







No comments:

Post a Comment